raushan
  UNITED ARAB EMIRATES
										 | 
											  Posted - Wednesday, June 7, 2006  -  11:01 AM    
 scientists  hon  ya  mazhabi ulema donon he apne nazariye   ko durust sabit karne ke liye  pahle daleel he dete hain...magar taqleedi zehan ki wajah se aisa aksar hota hai ke ulema ye samjhte hain ke jo kuchh daleelein unke pass hain wahi kaafi hain ya unmein ghaltiyan ho he nahin sakti ..iske bar aks scientist ka zehan ijtehadana hota hai woh her nayi haqeeqat ko agar saboot ke saath pesh ki gayi  ho to use accept karta hai... doosri cheez hai ke ulema mein eteraaf ki kami hai .."main he sahi hoon"..yeh ehsaas mushkilaat paida karta hai jabke "meri raye sahi hai lekin mumkin hai ke meri nazar us  mauzoo ke her pahlu pe na padi ho is wajah kar main ghalat bhi ho sakta hoon"..aisi soch ho to problem nahin aati...
  agli baat ye ke is baat ko usool ke taur pe manna ke insan ko Allah pak ne azad paida kiya hai uske sochne pe aur amal pe bhi ..magar hum ye  karte hain ke apne khyaalat zabardasti  manwana chahte hain..hamara kaam sirf ye hai ke jo kuchh bhi  sahi  lagta ho use  apne taur pe behtareen andaz mein  logon tak pahunchaayein ab manna na maanna unke ikhtiyar mein hai uski koi zimmewari pahunchane wale pe nahin hai...kyun ke  hamein sirf  pahunchane ki zimmewari di gayi hai logon pe  darogha nahin banaya gaya hai..
  akhiri baat ye ke  naa manne pe kufr ke fatwe  likhna  bazaat e khud bid'at  hai kyunke iska saboot  us daur mein nahin milta jis daur ke logon ki pairwi hamare imaan ka juz hai |   
										 |